Main Boli Tere Lab Par Hai Hansi Meri

main boli tere lab par hai hansi meri

wo bola mat baDhao bekali meri

main boli shahzade mol kya mera

wo bola shahzadi zindagi meri

mein boli tirgi har-su ziyaada hai

wo bola phailne do raushni meri

main boli hijr mein kaise jiyoge tum

wo bola ruk na jae sans hi meri

main boli KHwab kis ka dekhte ho tum

wo bola aankh mein dekho kabhi meri

main boli kyun bahut bechain rahte ho

wo bola qahr hai dil ki lagi meri

main boli tum suKHan ke shahzade ho

wo bola tum ho jaanan shairi meri

main boli zindagi par dukh ke sae hain

wo bola tum 'rabab' ab har KHushi meri

(885) Peoples Rate This

Fauziya Rabab's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Main Boli Tere Lab Par Hai Hansi Meri In English By Famous Poet Fauziya Rabab. Main Boli Tere Lab Par Hai Hansi Meri is written by Fauziya Rabab. Read famous Poem Main Boli Tere Lab Par Hai Hansi Meri for youth and Student by Fauziya Rabab. Free Download Main Boli Tere Lab Par Hai Hansi Meri in PDF.