Nahin KHayal To Phir Intizar Kis Ka Hai

nahin KHayal to phir intizar kis ka hai

ye zehn-o-dil ye bila-wajh bar kis ka hai

batae kaun ye ahl-e-KHirad se mahfil mein

chaman hai kis ke liye KHar-zar kis ka hai

hamara nam to ghairon mein ho gaya shamil

jo log apne hain un mein shumar kis ka hai

kisi ko daulat-e-duniya kisi ko izzat-e-nafs

KHuda ki den pe ab iKHtiyar kis ka hai

urus-e-maut se jaldi hai kis ko milne ki

qadam baDha hua ye su-e-dar kis ka hai

farishte aa ke 'wasiyya' se bole marqad mein

lahad mein aap ko ab intizar kis ka hai

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin KHayal To Phir Intizar Kis Ka Hai In English By Famous Poet Fatima Wasia Jayasi. Nahin KHayal To Phir Intizar Kis Ka Hai is written by Fatima Wasia Jayasi. Read famous Poem Nahin KHayal To Phir Intizar Kis Ka Hai for youth and Student by Fatima Wasia Jayasi. Free Download Nahin KHayal To Phir Intizar Kis Ka Hai in PDF.