Hath Mein Apne Abhi Tak Ek Saghar Hi To Hai

hath mein apne abhi tak ek saghar hi to hai

jis ko sab kahte hain mai-KHana wo andar hi to hai

dam mein tair ko le jati hai dane ki talash

phir bhi mazlumi-o-mahrumi muqaddar hi to hai

kaisi kaisi koshishen kar len miyan-e-jang bhi

mard-e-maidan jo bana hai wo sikandar hi to hai

apne KHaliq ki ata par naz hona chahiye

jo hasad rakhte hain un ka haal abtar hi to hai

KHak ke zarre chamakte hain ziya-e-nur se

aasman par jo hai wo KHurshid-e-KHawar hi to hai

chhoDiye bughz-o-adawat to samajh mein aae kuchh

jo 'wasiya' ho raha hai tujh ko bawar hi to hai

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Mein Apne Abhi Tak Ek Saghar Hi To Hai In English By Famous Poet Fatima Wasia Jayasi. Hath Mein Apne Abhi Tak Ek Saghar Hi To Hai is written by Fatima Wasia Jayasi. Read famous Poem Hath Mein Apne Abhi Tak Ek Saghar Hi To Hai for youth and Student by Fatima Wasia Jayasi. Free Download Hath Mein Apne Abhi Tak Ek Saghar Hi To Hai in PDF.