Manazir KHub-surat Hain

manazir KHub-surat hain

chalo chhu kar inhen dekhen

inhen mahsus karne ke liye

aankhon ko rakh den narm sabze par

labon ko surKH phulon par

hawa mein KHushbuon ka lams

jo gardan ko chhuta hai

use sare badan par phail jaane den

jahan par panw paDte hain

wahan talwon se shabnam ki nami aankhon talak aae

to phir sabze pe rakkhi aankh se pairon talak pahunche

inhin mein jazb ho jaun

kisi behad hasin manzar mein

gahri nind so jaun,

(4185) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manazir KHub-surat Hain In English By Famous Poet Fatima Hasan. Manazir KHub-surat Hain is written by Fatima Hasan. Read famous Poem Manazir KHub-surat Hain for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download Manazir KHub-surat Hain in PDF.