Ek Nazm Man Ke Liye
pahli bar main kab takiye par sar rakh kar soi thi
un ke badan ko DhunDa tha
aur roi thi
do hathon ne bhench liya tha
garm aaghosh ki rahat mein
kaisi gahri nind mujhe tab aai thi
kab dur hui thi pahli bar
apne pairon par chal kar
bistar se alag phir ghar se alag
ek lambe safar par nikli thi
dhire dhire dur hui kab
narm badan ki garmi se
is miThi nind ki rahat se
ab sochti hun
aur roti hun
(923) Peoples Rate This