Zamin Se Rishta-e-diwar-o-dar Bhi Rakhna Hai
zamin se rishta-e-diwar-o-dar bhi rakhna hai
sanwarne ke liye apna ghar bhi rakhna hai
hawa se aag se pani se muttasil rah kar
inhin se apni tabahi ka Dar bhi rakhna hai
makan banate hue chhat bahut zaruri hai
bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai
ye kya safar ke liye hijraten jawaz banen
jo wapsi ka ho aisa safar bhi rakhna hai
hamari nasl sanwarti hai dekh kar hum ko
so apne-ap ko shaffaf-tar bhi rakhna hai
hawa ke ruKH ko badalna agar nahin mumkin
hawa ki zad pe safar ka hunar bhi rakhna hai
nishan-e-rah se baDh kar hain KHwab manzil ke
inhen bachana hai aur rah par bhi rakhna hai
jawaz kuchh bhi ho itna to sab hi jaante hain
safar ke sath jawaz-e-safar bhi rakhna hai
(994) Peoples Rate This