Sukun-e-dil Ke Liye Ishq To Bahana Tha
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha
jo iztirab ka mausam guzar aaen hain
wo jaante hain ki wahshat ka kya zamana tha
wo jin ko shikwa tha auron se zulm sahne ka
KHud un ka apna bhi andaz jarehana tha
bahut dinon se mujhe intizar-e-shab bhi nahin
wo rut guzar gai har KHwab jab suhana tha
kab us ki fath ki KHwahish ko jit sakti thi
main wo fariq hun jis ko ki haar jaana tha
(1080) Peoples Rate This