KHwab Girwi Rakh Diye Aankhon Ka Sauda Kar Diya
KHwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya
qarz-e-dil kya qarz-e-jaan bhi aaj chukta kar diya
ghair ko ilzam kyun den dost se shikwa nahin
apne hi hathon kiya jo kuchh bhi jaisa kar diya
kuchh KHabar bhi ho na pai is dayar-e-ishq mein
kaun yusuf ho gaya kis ko zuleKHa kar diya
dil ke darwaze pe yaaden shor jab banne lagin
dhaDkanon ka nam de kar bojh halka kar diya
kitne achchhe log the kya raunaqen thin un ke sath
jin ki ruKHsat ne hamara shahr suna kar diya
apne pyaron ko bachaya dard ki har mauj se
aankh mein sailab roka dil ko dariya kar diya
phul, paude, peD, bachche ghar ka aangan aur tum
KHwahishon ke nam par in sab ko yakja kar diya
gham nahin la-hasili ka ishq ka hasil hai ye
ai hisab-e-zindagi tujh ko to pura kar diya
hijr se hijrat talak har dukh se samjhauta kiya
bhiD mein rah ke bhi main ne KHud ko tanha kar diya
ye zamin 'hasrat' ki hai is par qadam rakkha to phir
itni jurat ho gai arz-e-tamanna kar diya
(915) Peoples Rate This