Aankhon Mein Na Zulfon Mein Na RuKHsar Mein Dekhen
aankhon mein na zulfon mein na ruKHsar mein dekhen
mujh ko meri danish mere afkar mein dekhen
malbus badan dekhen hain rangin qaba mein
ab pairahan-e-zat ko izhaar mein dekhen
sau rang mazamin hain jab likhne pe aaun
gul-dasta-e-mani mere ashaar mein dekhen
puri na adhuri hun na kam-tar hun na bartar
insan hun insan ke mear mein dekhen
rakkhe hain qadam main ne bhi taron ki zamin par
pichhe hun kahan aap se raftar mein dekhen
mansub hain insan se jitne bhi fazael
apne hi nahin mere bhi atwar mein dekhen
kab chaha ki saman-e-tijarat hamein samjhen
lae the hamein aap hi bazar mein dekhen
us qadir-e-mutlaq ne banaya hai hamein bhi
tamir ki KHubi usi meamar mein dekhen
(1061) Peoples Rate This