Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cc6ec9533a98fbf2ca6ac12bf78d72e0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Muztarib Dil Ki Kahani Aur Hai - Fasih Akmal Poetry In English - Darsaal

Muztarib Dil Ki Kahani Aur Hai

muztarib dil ki kahani aur hai

koi lekin us ka sani aur hai

us ki aankhen dekh kar hum par khula

ye shuur-e-hukmarani aur hai

ye jo qatil hain unhen kuchh mat kaho

is sitam ka koi bani aur hai

umr bhar tum shairi karte raho

zaKHm-e-dil ki tarjumani aur hai

hausla TuTe na rah-e-shauq mein

gham ki aisi mezbani aur hai

muddaa izhaar se khulta nahin hai

ye zaban-e-be-zabani aur hai

aaine ke samne baiTha hai kaun

aaj manzar par jawani aur hai

(1220) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muztarib Dil Ki Kahani Aur Hai In English By Famous Poet Fasih Akmal. Muztarib Dil Ki Kahani Aur Hai is written by Fasih Akmal. Read famous Poem Muztarib Dil Ki Kahani Aur Hai for youth and Student by Fasih Akmal. Free Download Muztarib Dil Ki Kahani Aur Hai in PDF.