Munawwar Jism-o-jaan Hone Lage Hain
munawwar jism-o-jaan hone lage hain
ki hum KHud par ayan hone lage hain
ba-zahir to dikhai de rahe hain
ba-baatin hum dhuan hone lage hain
jinhen tariKH bhi likhte Daregi
wo hangame yahan hone lage hain
bahut se log kyun jaane achanak
tabiat par giran hone lage hain
faza mein murtaish bhi be-asar bhi
hum aawaz-e-azan hone lage hain
siyasi log ab chole badal kar
KHuda ke tarjuman hone lage hain
jo hum ko jaan se baDh kar chahte the
nasib-e-dushmanan hone lage hain
wo chingari jo ain-e-muddaa hai
to hum shola-ba-jaan hone lage hain
kabhi the nafa apna aap hum bhi
magar ab to ziyan hone lage hain
aziyat-koshiyon ka faiz dekho
masail dastan hone lage hain
bayan hum ko karega wo kahan se
ki hum to KHud bayan hone lage hain
zara aape mein rakkho KHud ko 'akmal'
ki bachche ab jawan hone lage hain
(872) Peoples Rate This