Kuchh Naya Karne Ki KHwahish Mein Purane Ho Gae
kuchh naya karne ki KHwahish mein purane ho gae
baal chandi ho gae bachche siyane ho gae
zindagi hansne lagi parchhaiyon ke shahr mein
chand kya ubhra ki sab manzar suhane ho gae
ret par to TuT kar barse magar basti pe kam
is nai rut mein to baadal bhi diwane ho gae
baadalon ko dekh kar wo yaad karta hai mujhe
is kahani ko sune kitne zamane ho gae
joDta rahta hun aksar ek qisse ke waraq
jis ke sab kirdar logo be-Thikane ho gae
'mir' ka diwan aankhen jism 'qaem' ki ghazal
jaane kis ke nam mere sab KHazane ho gae
ret par ek na-mukammal naqsh tha qurbat ka KHwab
fasla baDhne ke 'akmal' sau bahane ho gae
(854) Peoples Rate This