Kitabon Se Na Danish Ki Farawani Se Aaya Hai
kitabon se na danish ki farawani se aaya hai
saliqa zindagi ka dil ki nadani se aaya hai
tum apne husn ke jalwon se kyun sharmae jate ho
ye aaina meri aankhon ki hairani se aaya hai
ulajhna KHud se rah rah kar nazar se guftugu karna
ye andaz-e-suKHan us ko nigahbani se aaya hai
nadi hai mauj mein apni use is ki KHabar kya hai
ki tishna-lab musafir kis pareshani se aaya hai
sitaron ki tarah alfaz ki zau baDhti jati hai
ghazal mein husn us chehre ki tabani se aaya hai
(815) Peoples Rate This