De Gaya Likh Kar Wo Bas Itna Juda Hote Hue
de gaya likh kar wo bas itna juda hote hue
ho gae be-asra hum aasra hote hue
khiDkiyan mat khol lekin koi rauzan wa to kar
ghuT na jae mera dam taza hawa hote hue
waqt ne gardan uThane ki na di mohlat hamein
apna chehra bhul baiThe aaina hote hue
KHud usi ke ahd mein azm-e-wafadari na tha
warna kyun mujh se badalta aashna hote hue
gardish-e-dauran ka hum par bhi asar hota zarur
hum ne dekha hai magar us ko KHafa hote hue
jaane kis ke sog mein ye shahr hai Duba hua
mai-kade sunsan hain kali ghaTa hote hue
(884) Peoples Rate This