Suragh Bhi Na Mile Ajnabi Sada Ke Mujhe

suragh bhi na mile ajnabi sada ke mujhe

ye kaun chhup gaya sahraon mein bula ke mujhe

main us ki baaton mein gham apna bhul jata magar

wo shaKHs rone laga KHud hansa hansa ke mujhe

use yaqin ki main jaan de na paunga

mujhe ye KHauf ki roega aazma ke mujhe

jo dur rah ke uData raha mazaq mera

qarib aaya to roya gale laga ke mujhe

main apni qabr mein mahw-e-azab tha lekin

zamana KHush hua diwaron par saja ke mujhe

yahan kisi ko koi puchhta nahin 'azar'

kahan pe lai hai andhi hawa uDa ke mujhe

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suragh Bhi Na Mile Ajnabi Sada Ke Mujhe In English By Famous Poet Faryad Aazar. Suragh Bhi Na Mile Ajnabi Sada Ke Mujhe is written by Faryad Aazar. Read famous Poem Suragh Bhi Na Mile Ajnabi Sada Ke Mujhe for youth and Student by Faryad Aazar. Free Download Suragh Bhi Na Mile Ajnabi Sada Ke Mujhe in PDF.