Isi Futur Mein Karb-o-bala Se LipTe Hue

isi futur mein karb-o-bala se lipTe hue

tamam umr ganwa di ana se lipTe hue

abhi bhi mil na saki in ki KHamushi ko zaban

ye log ab bhi hain saut-o-sada se lipTe hue

hawa ke shahr mein bas sans lene aate hain

wagarna ahl-e-zamin hain KHala se lipTe hue

har ek samt laga hai KHamoshiyon ka hujum

ye kaun log hain koh-e-nida se lipTe hue

hansi bhi aati hai in par taras bhi aata hai

ye nafraton ke pujari KHuda se lipTe hue

hum ibtida hi mein pahunche the intiha ko kabhi

ab intiha mein bhi hain ibtida se lipTe hue

main zindagi ke masail se laDna chahta hun

magar wo hath nigar-e-hina se lipTe hue

wagarna KHatm na hota gahan kabhi 'azar'

andhere KHauf-zada the ziya se lipTe hue

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Futur Mein Karb-o-bala Se LipTe Hue In English By Famous Poet Faryad Aazar. Isi Futur Mein Karb-o-bala Se LipTe Hue is written by Faryad Aazar. Read famous Poem Isi Futur Mein Karb-o-bala Se LipTe Hue for youth and Student by Faryad Aazar. Free Download Isi Futur Mein Karb-o-bala Se LipTe Hue in PDF.