NaKHl-e-mamnua Ke RuKH Dobara Gaya Main To Mara Gaya
naKHl-e-mamnua ke ruKH dobara gaya main to mara gaya
arsh se farsh par kyun utara gaya main to mara gaya
jo paDha tha kitabon mein wo aur tha zindagi aur hai
mera iman sare ka sara gaya main to mara gaya
gham gale paD gaya zindagi bujh gai aql jati rahi
ishq ke khel mein kya tumhaara gaya main to mara gaya
mujh ko ghera hai tufan ne is qadar kuchh na aae nazar
meri kashti gai ya kinara gaya main to mara gaya
mujh ko tu hi bata dast-o-bazu mere kho gae hain kahan
ai mohabbat mera har sahaara gaya main to mara gaya
ishq chalta bana shairi ho chuki mai mayassar nahin
main to mara gaya main to mara gaya main to mara gaya
muddai bargah-e-mohabbat mein 'fartash' the aur bhi
mera hi nam lekin pukara gaya main to mara gaya
(949) Peoples Rate This