Han Kabhi Ruh Ko NaKHchir Nahin Kar Sakta
han kabhi ruh ko naKHchir nahin kar sakta
tujh zaban ne jo kiya tir nahin kar sakta
chand hota to ye mumkin tha magar chand nahin
so main us shaKHs ko tasKHir nahin kar sakta
main kahan aur ye aayat-e-KHad-o-KHal kahan
mushaf-e-husn main tafsir nahin kar sakta
aankh ne dekha sar-e-sham wo manzar 'fartash'
karna chahun bhi to taswir nahin kar sakta
(797) Peoples Rate This