Gundh Ke MiTTi Jo Kabhi Chaak Pe Aa Jati Hai

gundh ke miTTi jo kabhi chaak pe aa jati hai

baat be-mehri-e-aflak pe aa jati hai

aasmanon pe uDo zehn mein rakkho ki jo chiz

KHak se uThti hai wo KHak pe aa jati hai

rang-o-KHushbu ka kahin koi kare zikr to baat

ghum phir kar teri poshak pe aa jati hai

bikhra bikhra sa hai andaz-e-takallum un ka

aur tohmat mere idrak pe aa jati hai

naKHl mahfuz rahen baad-e-hawadis jo chale

ek aafat KHas-o-KHashak pe aa jati hai

chhoD jae jo koi chahne wala 'fartash'

zindagani rah-e-saffak pe aa jati hai

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gundh Ke MiTTi Jo Kabhi Chaak Pe Aa Jati Hai In English By Famous Poet Fartash Syed. Gundh Ke MiTTi Jo Kabhi Chaak Pe Aa Jati Hai is written by Fartash Syed. Read famous Poem Gundh Ke MiTTi Jo Kabhi Chaak Pe Aa Jati Hai for youth and Student by Fartash Syed. Free Download Gundh Ke MiTTi Jo Kabhi Chaak Pe Aa Jati Hai in PDF.