Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_929f2b47904057ce864b1bf89c0677ea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gali Ka Patthar Tha Mujh Mein Aaya BigaD Aisa - Fartash Syed Poetry In English - Darsaal

Gali Ka Patthar Tha Mujh Mein Aaya BigaD Aisa

gali ka patthar tha mujh mein aaya bigaD aisa

main Thokaren kha ke ho gaya hun pahaD aisa

KHuda KHabar dil mein koi aaseb hai ki is mein

koi na aaya gaya paDa hai ujaD aisa

na sar uTha pae koi bhaunchaal mujh mein ai waqt

main narm miTTi hun so mujhe tu lataD aisa

chahaar jaanib paDe hain purze nigah-o-dil ke

hamara is ishq ne kiya hai kabaD aisa

main bhul baiTha hun hansna 'fartash' bhul baiTha

hua hai KHushiyon ka band mujh par kiwaD aisa

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gali Ka Patthar Tha Mujh Mein Aaya BigaD Aisa In English By Famous Poet Fartash Syed. Gali Ka Patthar Tha Mujh Mein Aaya BigaD Aisa is written by Fartash Syed. Read famous Poem Gali Ka Patthar Tha Mujh Mein Aaya BigaD Aisa for youth and Student by Fartash Syed. Free Download Gali Ka Patthar Tha Mujh Mein Aaya BigaD Aisa in PDF.