Yun Bhi Hota Hai Ki Apne-ap Aawaz Dena PaDti Hai
duniya be-sifati ki aankh se dekh
ye takwin, zaman, zaminen,
masti aur lagan ki lila
ek bahlawa hai
is bahlawe mein ek dastawez hai
jis ka awwal aaKHir
phaTa hua hai
dudhiya raushan
shah-rahon par
kitne yug the
jin mein KHamoshi ke lambe lambe sakte hain
barish aur maTi ka zikr nahin
phir bhi hum ne
mani aur imkan ki be-tartibi mein
udhar udhar se
zinda rahne ka saman kiya
KHwabon ke gadle pani mein machhli dekh ke
harf banae
aur chikni miTTi ki murat par
do aankhen rakkhin
ghaTti baDhti duniyaon tak
masti aur lagan ki lila mein
ab harf hamare dilon ko raushan rakhte hain
lekin jura jura
umron ke dalan mein
apne-ap ko be-KHabari se
bharna paDta hai
nili chhat
ThanDi rakhne ko
tan-man nila karna paDta hai!
(849) Peoples Rate This