Tere Adl Ke Aiwanon Mein
Dhal gai raat
teri yaad ke sannaTon mein
bujh gai chand ke hamrah wo duniya jis ka
aks aankhon mein liye
main ne thakan bandhi thi
nim ghayal hain wo shaffaf irade jin par
kitni masum tamannaon ne labbaik kahi
jaane kis shahr ko aabaad kiya hai tu ne
dhaDkanen bhigti palkon se bandhi jati hain
zindagi asr-e-hama-gir mein be-mani hai
jaane kis pahr
tere adl ke aiwanon mein
nim hamwar zamin walon ki fariyaad suni jaegi
aks jo ek samay qurb mein the
dur nazar aate hain
garm sanson ki mashaqqat se badan
chur nazar aate hain
(749) Peoples Rate This