Ruh-e-asr-e-rawan
wo alam gir gae jin ke sae tale
ishq ki awwalin satr likhi gai
phul bheje gae
dushmanon ke liye
ab milo bhi ki ai ruh-e-asr-e-rawan
rang jalne lage
rup Dhalne lage
dusre pahr mein terahwin zarb par
kaT gae din ke raje kaDi dhup mein
shaKH-ta-shaKH murjha gain raat ki raniyan
ab milo bhi ki ai ruh-e-asr-e-rawan
aansuon mein saja aks uDne ko hai
barf hone ko hain apni hairaniyan
ruh-e-asr-e-rawan!!
ruh-e-asr-e-rawan!!
(809) Peoples Rate This