Malum Karo
kya ugla moD visal ka hai
kya ugla hukm dhamal ka hai
malum karo
malum karo wo manzil chauthe kos pe hai
jis manzil par inkar-e-darun-e-zat-e-alam
ehsas-e-bad dur ho jaega
aur para para jazbon ki yakjai se
iqrar amar ho jaega
jab umron ke taKHminon se
kuchh qadmon par
ek bhiD lagegi sanson ki
un sanson ki
jo chhan chhan kar ke girti hain
betab samay ke sine par
us sine par
jis sine mein kuchh chandi hai kuchh sona hai
un naslon ka
jo hum donon ke dhyan mein hain
aur dast-e-shifa ki surat hain
(856) Peoples Rate This