KHabar Mafqud Hai Lekin
KHabar mafqud hai lekin
lahu mein bhagti KHwahish umidon ke hare sahil pe hairan hai
use kashf-e-sahar jo bhi hua
suraj se KHali hai
use jo raste saunpe gae taqsim hote zawiyon mein sans lete hain
khuli aankhon mein raushan
chand taron ke chamakne se bahut pahle
ghanim-e-wusat-e-daman
hazaron chah DhunDh leta hai
KHabar mafqud hai lekin
hisar-e-zat se nikla hua jazba
sar-e-mehrab-o-member dar-o-maqtal tak nahin aaya
hua sattar qadam ka marsiya maile phaTe malbus
ghoDon ke sumon se meKH hoti aarzu apni gawahi kis tarah degi
muayyan hausle sanduqchon mein jaan-ba-lab hain
aur tawana bazuon mein
chuDiyon ki misl zanjir-e-kuhan aawaz deti hai
KHabar mafqud hai lekin
kaho tum to kaho jo baat kahna hai
(809) Peoples Rate This