Aisa Nahin Ki Munh Mein Hamare Zaban Nahin
aisa nahin ki munh mein hamare zaban nahin
hain kam-suKHan zarur pa aajiz bayan nahin
har-chand jaante hain use hum qarib se
par kya karen ki pa-e-suKHan darmiyan nahin
achchha to ek pal ke liye hi uTha ke dekh
ai aasman jo bar-e-amanat-garan nahin
KHud hum mein tab-e-did nahin hai ye aur baat
rahta hai wo nigah ke aage kahan nahin
'farruKH' kahin na sun ke kare wo bhi an-suni
kahte hain us se is liye dard-e-nihan nahin
(21582) Peoples Rate This