Raushni Se Kis Tarah Parda Karenge
raushni se kis tarah parda karenge
aaKHir-e-shab sochte hain kya karenge
wo sunahri dhup ab chhat par nahin hai
hum bhi aaine ko ab andha karenge
jism ke andar jo suraj tap raha hai
KHun ban jae to phir ThanDa karenge
ghar se wo nikle to bus-stand tak hi
us ka saya ban ke hum pichha karenge
aankh pathra jaegi ye jaante hain
phir bhi is manzar mein hum khoya karenge
(1459) Peoples Rate This