Rah-e-gum-karda Sar-e-manzil BhaTak Kar Aa Gaya
rah-e-gum-karda sar-e-manzil bhaTak kar aa gaya
subh ka bhula tha lekin sham ko ghar aa gaya
jaise us ko rok sakna apne bas mein hi nahin
jab bhi chaha be-ijazat ghar ke andar aa gaya
bhag kar jaen kahan ab tu hi kuchh tadbir kar
samne apne samundar sar pe lashkar aa gaya
us ne koshish to bahut ki sar bachane ki magar
jis taraf se tha nahin andesha patthar aa gaya
hum na kahte the ki 'farruKH' aadmi achchha nahin
dekh tujh ko bhi yaqin ab is se mil kar aa gaya
(1759) Peoples Rate This