Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ecb8dee4f83c43253bb13e34ca940ca3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Masala Ye Hai Ki Uske Dil Mein Ghar Kaise Karen - Farrukh Jafari Poetry In English - Darsaal

Masala Ye Hai Ki Uske Dil Mein Ghar Kaise Karen

masala ye hai ki us ke dil mein ghar kaise karen

darmiyan ke fasle ka tai safar kaise karen

koi sunta hi nahin arz-e-hunar kaise karen

KHud ko hum apni nazar mein mo'tabar kaise karen

aaKHiri patthar se be-samt-o-nishan jaana hai ab

hum khuli aankhon se ye andha safar kaise karen

jaan ke jaane ka andesha bahut hai ab ki bar

marka bhi aaKHiri karna hai sar kaise karen

kuchh dinon ki baat ho to kaT den aankhon mein raat

nind agar aae na 'farruKH' umr bhar kaise karen

(1591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masala Ye Hai Ki Uske Dil Mein Ghar Kaise Karen In English By Famous Poet Farrukh Jafari. Masala Ye Hai Ki Uske Dil Mein Ghar Kaise Karen is written by Farrukh Jafari. Read famous Poem Masala Ye Hai Ki Uske Dil Mein Ghar Kaise Karen for youth and Student by Farrukh Jafari. Free Download Masala Ye Hai Ki Uske Dil Mein Ghar Kaise Karen in PDF.