Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5fb67ddaafad3a8ab880d325f6704c75, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Silsile KHwab Ke Ashkon Se Sanwarte Kab Hain - Farooq Shamim Poetry In English - Darsaal

Silsile KHwab Ke Ashkon Se Sanwarte Kab Hain

silsile KHwab ke ashkon se sanwarte kab hain

aaj dariya bhi samundar mein utarte kab hain

waqt ek mauj hai aata hai guzar jata hai

Dub jate hain jo lamhat ubharte kab hain

yun bhi lagta hai teri yaad bahut hai lekin

zaKHm ye dil ke teri yaad se bharte kab hain

lahar ke samne sahil ki haqiqat kya hai

jin ko jina hai wo haalat se Darte kab hain

ye alag baat hai lahje mein udasi hai 'shamim'

warna hum dard ka izhaar bhi karte kab hain

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Silsile KHwab Ke Ashkon Se Sanwarte Kab Hain In English By Famous Poet Farooq Shamim. Silsile KHwab Ke Ashkon Se Sanwarte Kab Hain is written by Farooq Shamim. Read famous Poem Silsile KHwab Ke Ashkon Se Sanwarte Kab Hain for youth and Student by Farooq Shamim. Free Download Silsile KHwab Ke Ashkon Se Sanwarte Kab Hain in PDF.