Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1b9f38c1e7d8a0f193cd58a26604b55b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Lafz Mein Poshida Ek Alao Na Rakh - Farooq Shamim Poetry In English - Darsaal

Har Ek Lafz Mein Poshida Ek Alao Na Rakh

har ek lafz mein poshida ek alao na rakh

hai dosti to takalluf ka rakh-rakhao na rakh

har ek aks rawani ki nazr hota hai

nadi se kaun ye ja kar kahe bahao na rakh

ye aur baat zamane pe aashkar na ho

meri nazar se chhupa kar tu dil ka ghao na rakh

hisar-e-zat se kaT kar to ji nahin sakte

bhanwar ki zad se yun mahfuz apni naw na rakh

ye inkisar mubarak 'shamim' tujh ko magar

ab itna shaKH-e-samar-dar mein jhukaw na rakh

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Lafz Mein Poshida Ek Alao Na Rakh In English By Famous Poet Farooq Shamim. Har Ek Lafz Mein Poshida Ek Alao Na Rakh is written by Farooq Shamim. Read famous Poem Har Ek Lafz Mein Poshida Ek Alao Na Rakh for youth and Student by Farooq Shamim. Free Download Har Ek Lafz Mein Poshida Ek Alao Na Rakh in PDF.