Ghazlon Mein Ab Wo Rang Na Ranai Rah Gai
ghazlon mein ab wo rang na ranai rah gai
kuchh rah gai to qafiya-paimai rah gai
lafzon ka ye hisar bulandi na chhu saka
yun bhi mere KHayal ki gahrai rah gai
kya sochiye ki rishta-e-diwar kya hua
dhupon se ab jo marka-arai rah gai
kab jaane sath chhoD den dil ki ye dhaDkanen
har waqt sochti yahi tanhai rah gai
apne hi fan ki aag mein jalte rahe 'shamim'
honTon pe sab ke hausla-afzai rah gai
(836) Peoples Rate This