Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2a069b0a03b10bdec0f2423f02a91b7e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dard Ke Chehre Badal Jate Hain Kyun - Farooq Shamim Poetry In English - Darsaal

Dard Ke Chehre Badal Jate Hain Kyun

dard ke chehre badal jate hain kyun

marsiye naghmon mein Dhal jate hain kyun

soch ke paikar nahin jab mom ke

hath aate hi pighal jate hain kyun

jab bikhar jati hai KHush-bu KHwab ki

nind ke gesu machal jate hain kyun

jhil si aankhon mein mujh ko dekh kar

do diye chupke se jal jate hain kyun

dhup chhuti hai badan ko jab 'shamim'

barf ke suraj pighal jate hain kyun

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ke Chehre Badal Jate Hain Kyun In English By Famous Poet Farooq Shamim. Dard Ke Chehre Badal Jate Hain Kyun is written by Farooq Shamim. Read famous Poem Dard Ke Chehre Badal Jate Hain Kyun for youth and Student by Farooq Shamim. Free Download Dard Ke Chehre Badal Jate Hain Kyun in PDF.