Wo Alag Chup Hai KHud Se Sharma Kar
wo alag chup hai KHud se sharma kar
kya kiya main ne hath phaila kar
phal har ek Dal par nahin hote
sang har Dal par na phenka kar
taza rakhne ki koi surat soch
sukhe lab par zaban na phera kar
dasht-e-suraj mein kya mila hum ko
rah gaya rang apna sanwla kar
miT na jae kahin wajud tera
KHud ko fursat mein chhu ke dekha kar
aaina ho chala hai suraj ab
hai yahi waqt sab ko andha kar
ek hon do kinare dariya ke
koi aisi sabil paida kar
kaise darwaze par qadam rakhkhun
koi leTa hai panw phaila kar
suraten zehn se na miT jaen
bhule-bhaTke idhar bhi nikla kar
sarsari taur par jo baat hui
us ne puchha usi ko dohra kar
Thahre pani mein phenk kar patthar
apne sae ko tu na ruswa kar
(856) Peoples Rate This