UjDe Nagar Mein Sham Kabhi Kar Liya Karen
ujDe nagar mein sham kabhi kar liya karen
mujh se dua salam kabhi kar liya karen
jangal ke phul hi sahi lekin hain kaam ke
sath un ke bhi qayam kabhi kar liya karen
har rah saf sidhi nahin pur-KHatar bhi hai
suraj chhupe to sham kabhi kar liya karen
mausam hai KHush-gawar to shaKHen bhi sar pe hain
un ka bhi ehtiram kabhi kar liya karen
kaTta hai waqt kaise kisi ko giraya jae
kuchh kaam ka bhi kaam kabhi kar liya karen
shirkat tamam dawaton mein lazmi nahin
lekin kahin to nam kabhi kar liya karen
ye sach hai aage pichhe 'shafaq' dost hi to hain
talwar be-niyam kabhi kar liya karen
(753) Peoples Rate This