Raat Kafi Lambi Thi Dur Tak Tha Tanha Main
raat kafi lambi thi dur tak tha tanha main
ek zara se roghan par kitna jalta-bujhta main
sab nishan qadmon ke miT gae the sahil se
kis ke waste aaKHir Dubta ubharta main
mera hi badan lekin bund bund ko tarsa
dast aur sahra par abr ban ke barsa main
adh-jale se kaghaz par jaise harf raushan hon
us ki koshishon par bhi zehn se na utra main
donon shaklon mein apne hath kuchh nahin aaya
kitni bar simTa main kitni bar phaila main
zindagi ke aangan mein dhup hi nahin utri
apne sard kamre se kitni bar nikla main
aaj tak koi kashti is taraf nahin aai
paniyon ke ghere mein aisa hun jazira main
kaTta tha har manzar dusre manazir ko
koi manzar aankhon mein kis tarah se bharta main
(850) Peoples Rate This