Phulon Ko Waise Bhi Murjhana Hai Murjhaenge
phulon ko waise bhi murjhana hai murjhaenge
khiDkiyan kholin to sannaTe chale aaenge
lakh hum ujli rakhen shahr ki diwaron ko
shahr-name to bahar-haal likkhe jaenge
rakh rah jaegi rudad sunane ke liye
ye to mehman parinde hain chale jaenge
apni laghzish ko to ilzam na dega koi
log thak-haar ke mujrim hamein Thahraenge
aaj jin jaghon ki tafrih se mahfuz hun main
mere haalat mujhe kal wahan pahunchaenge
raste sham ko ghar le ke nahin lauTenge
hum tabarruk ki tarah rahon mein baT jaenge
din kisi tarah se kaT jaega saDkon pe 'shafaq'
sham phir aaegi hum sham se ghabraenge
(1685) Peoples Rate This