Manzar Ajab Tha Ashkon Ko Roka Nahin Gaya
manzar ajab tha ashkon ko roka nahin gaya
hansta hua jo aaya tha hansta nahin gaya
ek bar yun hi dekh liya tha use kahin
phir us ke baad shahr mein dekha nahin gaya
thi jis ke dam se raunaq-e-mahfil hama-hami
dawat mein us gharib ko puchha nahin gaya
sari KHudai KHud hi khinchi jati thi udhar
main KHud wahan gaya mujhe bheja nahin gaya
jo kuchh na dekhta tha 'shafaq' dekhna paDa
ghar le ke mujh ko sham ko rasta nahin gaya
(803) Peoples Rate This