Hone Wala Tha Ek Hadsa Rah Gaya
hone wala tha ek hadsa rah gaya
kal ka sab se baDa waqia rah gaya
raat aangan mein utri nahin chandni
chand shaKHon mein uljha hua rah gaya
hum ne kah sun liya mutmain ho gae
aur ab kahne sunne ko kya rah gaya
subh hogi kahani banegi koi
zindagi ka yahi masala rah gaya
main ne nafrat ki khai pe pul rakh diya
phir bhi TuTa hua silsila rah gaya
sab Darame ke kirdar ghar chal diye
samne ek parda paDa rah gaya
ye bhi taklik-deh ek saza hi to hai
shaKH mein ek patta hara rah gaya
main kisi ke yahan waqt kya kaTta
apna hi ghar 'shafaq' DhunDhta rah gaya
(825) Peoples Rate This