Nind Kyun Nahin Aati
raat KHamushi le kar
jhulti hai peDon par
dasht dasht viran hain
raushni ke hangame
tirgi barasti hai
unche niche Tilon par
nind kyun nahin aati
main udas rahta hun
din ke garm mele mein
main malul rahta hun
sham ke jhamele mein
main sharab pi kar bhi
hoshiyar rahta hun
jo bhi dil pe lag jae
main wo zaKHm sahta hun
sochta hun duniya mein
main bhi kitna tanha hun
chandni ke pahlu mein
dil nawaz kirnon ko
oDh kar main leTa hun
nind kyun nahin aati
nind ek KHushbu hai
raat ki fazaon mein
ku-ba-ku bhaTakti hai
mere ghar nahin aati
mujh se dur rahti hai
phir main KHud se kahta hun
nind kyun nahin aati
(1020) Peoples Rate This