Aur Main Chup Raha

mere hathon se meri chita ban gai

mere kandhon pe mera janaza uTha

nok-e-mizhgan se qirtas-ayyam par

mere KHun se mera nam likkha gaya

aur main chup raha

mere bazar kuche mere baam-o-dar

meri nadariyon se sajae gae

mere afkar meri mata-e-hunar

meri mahrumiyon se basae gae

aur main chup raha

meri taqdir ka jo bhi KHaka bana

pile mausam ke patton pe likkha gaya

meri taswir mujh se chhupai gai

mujh ko nadida KHwabon mein dekha gaya

aur main chup raha

mere alfaz mani ki talwar se

sar-burida hue gungunate rahe

mere naghme gadaon mein banTe gae

barguzida hue gungunate rahe

aur main chup raha

mujh se meri tamanna ke gul chhin kar

zard mausam ne jashn-e-bahaaran kiya

barf mere nasheman pe aa ke giri

dhup nikli to is ko hirasan kiya

aur main chup raha

mere sarsabz jangal ujaDe gae

meri jhilon mein ajgar basae gae

koh-e-maran ki taqdis luTi gai

be-hisi ke maqabir sajae gae

aur main chup raha

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Main Chup Raha In English By Famous Poet Farooq Nazki. Aur Main Chup Raha is written by Farooq Nazki. Read famous Poem Aur Main Chup Raha for youth and Student by Farooq Nazki. Free Download Aur Main Chup Raha in PDF.