Pure Qad Se Main KhaDa Hun Samne Aaega Kya
pure qad se main khaDa hun samne aaega kya
main tera saya nahin hun mujh ko samjhaega kya
aandhiyon par uD raha hai jin parindon ka hujum
aasman ki wusaton se lauT kar aaega kya
ek nae manzar ka KHaka aasman par kyun nahin
chand apni chandni par yunhi itraega kya
fasl-e-gul ke baad patjhaD yun to ek mamul hai
KHauf ban kar phir dar-o-diwar par chhaega kya
jaanib-e-shahr-e-ghazalan phir chali sham-e-firaq
dasht ki be-KHwabiyon ka raazdan aaega kya
KHun ki roti safedi be-sada sazon ka shor
be-sar-o-pa git koi be-zaban gaega kya
hai ghazal aazad goya be-dar-o-diwar ghar
hum ko bhi is sinf-e-be-ja ka hunar aaega kya
(853) Peoples Rate This