Hisar-e-jism Se Aage Nikal Gaya Hota

hisar-e-jism se aage nikal gaya hota

junun ki aag mein diwana jal gaya hota

hayat ek sahi kaenat ek sahi

hamare ahd ka insan badal gaya hota

hawa ke zor ne patthar uDa diye hote

tamam shahr ko tufan nigal gaya hota

main apni nind kisi ghar mein kaise bhul aata

wo mere KHwab ke sanche mein Dhal gaya hota

na puchh kaisa tha manzar teri judai ka

farishta hota to wo bhi dahal gaya hota

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hisar-e-jism Se Aage Nikal Gaya Hota In English By Famous Poet Farooq Nazki. Hisar-e-jism Se Aage Nikal Gaya Hota is written by Farooq Nazki. Read famous Poem Hisar-e-jism Se Aage Nikal Gaya Hota for youth and Student by Farooq Nazki. Free Download Hisar-e-jism Se Aage Nikal Gaya Hota in PDF.