Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4ee4b1fd8c083d119f1e11b70d205023, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Basti Se Dur Ja Ke Koi Ro Raha Hai Kyun - Farooq Nazki Poetry In English - Darsaal

Basti Se Dur Ja Ke Koi Ro Raha Hai Kyun

basti se dur ja ke koi ro raha hai kyun

aur puchhta hai shahr tera so raha hai kyun

ruswaiyon ka Dar hai na purshish ka KHauf hai

daman se apne dagh-e-wafa dho raha hai kyun

kya lazzat-e-gunah se dil aashna nahin

sharminda mere haal pe tu ho raha hai kyun

wo un ki dil-fareb dil-araiyan kahan

mazi ke KHauf-zar mein ab kho raha hai kyun

'faruq'-ji ka kab koi pursan-e-haal tha

tanhaiyon ke ghaar mein dil ro raha hai kyun

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basti Se Dur Ja Ke Koi Ro Raha Hai Kyun In English By Famous Poet Farooq Nazki. Basti Se Dur Ja Ke Koi Ro Raha Hai Kyun is written by Farooq Nazki. Read famous Poem Basti Se Dur Ja Ke Koi Ro Raha Hai Kyun for youth and Student by Farooq Nazki. Free Download Basti Se Dur Ja Ke Koi Ro Raha Hai Kyun in PDF.