Ai Markaz-e-KHayal Bikharne Laga Hun Main

ai markaz-e-KHayal bikharne laga hun main

apne tasawwuraat se Darne laga hun main

is dopahar ki dhup mein saya bhi kho gaya

tanhaiyon ke dil mein utarne laga hun main

bardasht kar na paunga wahshat ki raat ko

use sham-e-intizar bipharne laga hun main

is tirgi mein kirmak-e-shab-tab bhi nahin

tarikiyon ko ruh mein bharne laga hun main

ab dil mein teri yaad ki ek shama tak nahin

tarik raston se guzarne laga hun main

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Markaz-e-KHayal Bikharne Laga Hun Main In English By Famous Poet Farooq Nazki. Ai Markaz-e-KHayal Bikharne Laga Hun Main is written by Farooq Nazki. Read famous Poem Ai Markaz-e-KHayal Bikharne Laga Hun Main for youth and Student by Farooq Nazki. Free Download Ai Markaz-e-KHayal Bikharne Laga Hun Main in PDF.