Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8ded70760c5c8605cc44b41cf1d04473, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Taaqub - Farooq Muztar Poetry In English - Darsaal

Taaqub

shab-o-roz

jaane mujhe kyun ye ehsas hai

koi mere taaqub mein baDhta chala aa raha hai

main KHud hi in bhaari qadmon ki aawaz ke bojh

se dab raha hun

ki main apne hi dast-o-bazu mein ab lamha lamha simaTne laga hun!

main ab KHud hi mein zarra zarra bikharne laga hun!

mein ab apni hamsaegi se bhi Darne laga hun!

mein shayad! KHud apni sada ke taaqub mein chalne laga hun

ki

tashkik aur la-yaqini

ke dhundle manazir liye aankh mein

aap apne lahu ke dahakte jahannam mein

jalne laga hun!

mere hafize mein taaqub ki koi bhayanak kahani hai

mahfuz shayad!

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taaqub In English By Famous Poet Farooq Muztar. Taaqub is written by Farooq Muztar. Read famous Poem Taaqub for youth and Student by Farooq Muztar. Free Download Taaqub in PDF.