Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4f6f3d23f507c055329627da0bae5f8d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Soch Bhi Us Din Ko Jab Tu Ne Mujhe Socha Na Tha - Farooq Muztar Poetry In English - Darsaal

Soch Bhi Us Din Ko Jab Tu Ne Mujhe Socha Na Tha

soch bhi us din ko jab tu ne mujhe socha na tha

koi dariya dasht ke atraf mein bahta na tha

us ko kab fursat thi jo chehron ko paDhta ghaur se

warna sath-e-aina ka har waraq sada na tha

jaane kyun ab raat din ghar mein paDa rahta hai wo

pahle yun KHud mein kabhi simTa hua rahta na tha

KHushbuon rangon ko pi leti hai aakar zard-sham

peD hai andesha-e-anjam to sukha na tha

shah-rahon se gurezan hai magar kuchh soch kar

aadatan pahle to wo pagDanDiyan chalta na tha

(695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soch Bhi Us Din Ko Jab Tu Ne Mujhe Socha Na Tha In English By Famous Poet Farooq Muztar. Soch Bhi Us Din Ko Jab Tu Ne Mujhe Socha Na Tha is written by Farooq Muztar. Read famous Poem Soch Bhi Us Din Ko Jab Tu Ne Mujhe Socha Na Tha for youth and Student by Farooq Muztar. Free Download Soch Bhi Us Din Ko Jab Tu Ne Mujhe Socha Na Tha in PDF.