Shafaq-e-shab Se Ubharta Hua Suraj Sochen
shafaq-e-shab se ubharta hua suraj sochen
barf ki tah se koi chashma ubalta dekhen
raushni dhup hawa mil ke kiya sab ne niDhaal
ab tamanna hai kisi andhe kuen mein bhaTken
jalte-bujhte hue is shahr pe kya kuchh likkha
aaj sab likkha hua aankh pe la kar rakh den
jaane kyun Dubta rahta hun main apne andar
jaane kyun sujhti rahti hain ye ulTi baaten
chhin len apni murawwat ka ye zina gar hum
aaj 'muztar' use aakash se girta dekhen
(1605) Peoples Rate This