Qurbaten BaDh Gai Nigahon Ki
qurbaten baDh gai nigahon ki
ab haden KHatm hain libason ki
dhup roke khaDi hai kis ke liye
ye sar-e-rah qatar peDon ki
aur phailega aag ka dariya
aur jhulsegi khaal chehron ki
KHud-kushi ka safar bhi sahl nahin
bhiD si hai lagi sawalon ki
kaun KHud mein samo saka hai kabhi
wusaten la-zawal lamhon ki
kab se dohra raha hun main 'muztar'
ek fahrist chand namon ki
(647) Peoples Rate This