Apni Aankhon Ke Hisaron Se Nikal Kar Dekhna

apni aankhon ke hisaron se nikal kar dekhna

tu kisi din apne na hone ka manzar dekhna

ek adam-malum-muddat se main teri zad mein hun

KHud ko lamha bhar mera qaidi bana kar dekhna

sham gahre paniyon mein Dub kar ek bar phir

shahr ke maujud manzar ko palaT kar dekhna

dekhna pichhle pahar KHwabon ki ek andhi qatar

aasman par TuTte taron ka manzar dekhna

mera apne aap se bahar bikhar jaana tamam

aur KHizan-dida parindon ka mera ghar dekhna

rang apne aap hi ab sab ke sab zail hue

hai abas diwar par ye naqsh-o-paikar dekhna

main ki KHud muztar fasil-e-jism ke is par hun

kya bhanwar ka KHauf ab kaisa samundar dekhna

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Aankhon Ke Hisaron Se Nikal Kar Dekhna In English By Famous Poet Farooq Muztar. Apni Aankhon Ke Hisaron Se Nikal Kar Dekhna is written by Farooq Muztar. Read famous Poem Apni Aankhon Ke Hisaron Se Nikal Kar Dekhna for youth and Student by Farooq Muztar. Free Download Apni Aankhon Ke Hisaron Se Nikal Kar Dekhna in PDF.